This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.
“Basant”(1960) was produced and directed by Bibhuti Mitra for Mitra productions, Bombay. The movie had Nutan, Shammi Kapoor, Johny Walker, Minu Mumtaz, Pran, Kammo, Murad, Vitthaldas Panchotia, Jagdish Kanwal, Shyamlal, Rajendra, V Namade etc with Cuckkoo in guest appearance.
The movie had 14 songs in it. Eight songs from the movie have been discussed in the past.
The movie had as many as eleven Rafi-Asha Bhonsle duet songs. I think that this must be a record of duet songs in a movie.
This song is one of those duet Rafi, Asha Bhonsle duet songs. It is penned by Qamar Jalalabadi. Music is composed by O P Nayyar.
The song is picturised as a dance song on Nutan, Shammi Kapoor, Johny Walker etc.
The lyrics of this song were obviously the inspiration behaind the song Mere pairon me ghunghroo bandha de from “Sangharsh”(1968) that came eight years later.
Song-Mere lahange mein ghunghroo lagaa de (Basant)(1960) Singers-Asha Bhonsle, Rafi, Lyrics-Qamar Jalalabadi, MD-O P Nayyar
Lyrics
mere lahange mein ghunghru lagaa de
ho o o
mere lahange mein ghunghru lagaa de
to phir meri chaal dekh le
ho kaali zulfon mein apni fansa le
ho o o
kaali zulfon mein apni fansa le
to phir mera haal dekh le
haaye
mere lahange mein ghunghru lagaa de
haaye ae ae
mere lahange mein ghunghru lagaa de
to phir meri chaal dekh le
ho kaali zulfon mein
apni nazariya phenk na mujhpe
mai hu bholi bhaali
chhed na mujhko
kaise laaun chaal aisi matwaali
jooti le de ae
jooti le de sitaaron waali
haaye ae
jooti le de sitaaron waali
to fir meri chaal dekh le
haaye haaye
kaali zulfon mein apni fansa le
ho o o
kaali zulfon mein apni fansa le
to phir mera haal dekh le
kaali zulfon mein
tu hai chambe ki chambeli
main shimle ka baabu
umr qaid chaahe ho jaaye
karke rahoonga kaabu
teekhi nazron se
teekhi nazron se bijli gira de
ho o
teekhi nazron se bijli gira de
to phir mera haal dekh le
haaye
mere lahange mein ghunghru lagaa de
hey ae ae
mere lahange mein ghunghru lagaa de
to phir meri chaal dekh le
ho kaali zulfon mein
gora mukhda kaala kurta
ghata mein bijli chamke
laal chunariya badan sunahra
aankh mein shola damke
saadi le de
saadi lede banaaras waali
haaye ae ae
saadi lede banaaras waali
to phir meri chaal dekh le
hoy sadke
haa aa
kaali zulfon mein apni phansa le
ho o
kaali zulfon mein apni phansa le
to phir mera haal dekh le
kaali zulfon mein
aa aa aa aa aa aa
aa aa aa aa aa aa
aa aa aa aa aa aa aa
aa aa aa aa aa aa aa aa
yeah aa haa
yeah aah aah
arre waah